Breaking

Tuesday, January 16, 2018

Excel Window Introduction

Last Post main mene aapko Btaya tha ke Excel ko Open kesy krna he. Ab main aapko Excel main kiya kiya hota hai ye btanay laga hoon. Is Pic ko Ghoor Se dekhain or nichy diye gaye Points Ko read krnay pr Umeed Hai aapko sb Aasani Se Samjh Aa Jaye Ga.



Logo & Backstage :  Excel me uper uper first Main left corner main Excel ka logo hota hai, Ye As a button kaam krta hai, isko click krnay pr jo Options show hotay hain unko file tab kehtay hain or Recent wali jaga per jo file aapnay recently excel me open ki hoti he wo show hoti he, is recent walay area ko backstage kaha jata hai.

Quick Access Toolbar:  Jesy k aap pic main dekh skty hain k logo ke bad kuch Icons hain jo ke save, undo or redo ke hain In Icons waly Area ko Quick Access Toolbar Kehtay hain. Jis main aap SAVE, UNDO, REDO, PRINT PREVIEW, QUICK PRINT, ETC ka Quick shortcut laga sktay hain or aik hi click main aap wo amal kr sktay hain aapko ziyada keys ka istmal ni krna prta.

Title Bar:  Quick Access Toolbar ke bar usi line main aap dekh sktay hain Book1 - Microsoft Excel likha hai isay Title Bar kehtay hain, is Main aapko file ka name show hoga jis name se aapnay file ki hwi hai.

Control Bar: Right corner per Control bar hai jisky zariye aap excel ko Minimize, Maximize or Close kr sktay hain ye to her kisi ko pta hi hoga

File Tab:   File Tab ko Excel Main New File Bananay k liye use hota hai, Pehlay se Saved File ko Open krnay k Liye use hota hai, Open file ko Save krnay k liye Istmal kiya jata hai, Save As krnay k liye use hota hai, Print View Dekhnay k liye, 


Red Circul wala Area File Tab ka hai.

Ribbon:  Ribbon Working area se thora oper hoti hai jis Main button or icons hotay hain ye sb se pehly Excel 2007 mai Mutarif hwi hai. Ribbon ke uper aik se ziyada tab hotay hain, Jesa ke Home, Insert, Page Layout, Formulas, Data, Review, View, Developer & Add-Ins. In ke ilawa bhi hum Manual or Tab ad kr sktay hain...


Address Bar:  Address bar main aapko selected cell ka address show hota he. ye bar aapko indicate krta hai ke aap ne is wakt konsa cell select kiya hwa hai.

Formula Bar:  Formula bar main aapko cell main lgaya gaya formula show hota hai. agr to formula na laga ho to cell me mojood value show hoti hai, other wise is main formula hi show hota hai... formula bar main click kr ke aap formula change kr sktay hain.
formula bar is liye hota hai agr kisi cell main koi formula laga hai to us cell me to formula show ni ho rha hota to formula show krnay k liye formula bar ko rakha gya he excel bar main aap chahain to formula bar ko hide bhi kr sktay hain formula bar ko hide krna hum aapko bad main sikhayn ge...

Columns :  Column Header main alphabetic hotay hain takay her column ko aik alg naam diya ja skay. aik sheet main "16384" Columns Hotay hain.

Rows :  Row Header main Numbering hoti hai takay her row ko uskay number se pehchana ja skay. Aik Sheet Main "1048576" Rows hoti hain.

Cell:   Row or Column ke milap se CELL bnta hai. jab rows or columns aapas main miltay hain to cell bnta hai or aik cell ka address is liye isi trha hota hai jesy k "A1" "A1" Column A ki ROW Number 1 se mil rhi hai is liye iska address A1 bnta hai... aik cell main "32767" Character Enter kiye ja sktay hain.



No comments:

Post a Comment